One of my Fav Ghazals....

wo jo hum me tum me qaraar tha tumhe yad ho ki na yaad ho
wahi yaani vaada nibah ka tumhe yad ho ki na yaad ho

wo jo lutf mujhpe tha beshtar wo karam ki tha mere hal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhe yad ho ya na yad ho

wo naye gile wo shikayatein wo maze maze ki hikayatein
wo har ek baat pe ruthna tumhe yad ho ki na yad ho

kabhi hum mein tum me bhi chaah thi kabhi humse tumse bhi raah thi
kabhi hum b tum b the aashna tumhe yad ho ki na yad ho

suno zikr hai kayi saal ka kiya ek aapne waada tha
so nibhane ka to zikr kiya tumhe yad ho ki na yaad ho

jise aap ginte the aashna jise aap khte the baawafa

main wahi hu momin e mubtala tumhe yad ho ki na yaad ho....

Comments

Popular posts from this blog

India's headless chicken syndrome

Defence and India’s private sector

If 2.6 Billion People Go To War: India vs. China