One of my Fav Ghazals....
 wo jo hum me tum me qaraar tha tumhe yad ho ki na yaad ho  wahi yaani vaada nibah ka tumhe yad ho ki na yaad ho   wo jo lutf mujhpe tha beshtar wo karam ki tha mere hal par  mujhe sab hai yaad zara zara tumhe yad ho ya na yad ho   wo naye gile wo shikayatein wo maze maze ki hikayatein  wo har ek baat pe ruthna tumhe yad ho ki na yad ho   kabhi hum mein tum me bhi chaah thi kabhi humse tumse bhi raah thi  kabhi hum b tum b the aashna tumhe yad ho ki na yad ho   suno zikr hai kayi saal ka kiya ek aapne waada tha  so nibhane ka to zikr kiya tumhe yad ho ki na yaad ho   jise aap ginte the aashna jise aap khte the baawafa  main wahi hu momin e mubtala tumhe yad ho ki na yaad ho....